Badnaamiyan - Hate Story IV - Hindi Lyrics



BADNAAMIYAN

Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya [2]
Khud ko teri hi khatir badnaam kar diya
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi, [2]

Har pal yeh dil yaad tujhe karta rehta hai
Har pal tere sapne ye dekha karta hai,

Maana tumne raaste apne badal diye
Yeh bechara beete kal mein hi rehta hai,

Aakhiri saans ko bhi tere naam kar diya [2x]
Khudko tere hi khaatir nakaam kar diya
Badnamiyan mili, tanhaiyaan badhi [2x]........

Main teri aankhon mein dekhta hoon khudko,
Tumko kya dikhta hai, meri nazron mein kaho,

Dekhte chaahte, subah ko shaam kar diya [2]
Khud ko teri hi khatir qurbaan kar diya
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi [2]...

Zindagani ke lamhon ko tere naam kar diya, [2]
Khud ko teri hi khatir badnaam kar diya
Badnaamiyan mili, tanhaiyaan badhi [2]...




TAGS:
Armaan Malik, Baman Chand, Rashmi Virag,  Abhijit Vaghani, Urvashi Rautela, Karan Wahi, Hate Story IV Movie Song Lyrics,  Hindi Song Lyrics

Comments